Life

Intezaar! ๐Ÿ˜Œ

Laga rehta hai…Kabhi waqt ka toh kabhi wyakti ka.
Uss waqt ka joh mera hai, uss nayi subha ka joh dubate shaam ka savera hai.
Uss wyakti ka joh mera tha, joh itna mukammal ho kar bhi sapna hai. Paraya maan le ya woh ab bhi apna hai?

Yeh duvidha! ๐Ÿ˜…
Kabhi lambi chalaang maar bhavishya mein jana chaahti hai Zindagi.. toh kabhi purani yaadon mein gota lagane ke liye mashahoor hai.

Waqt apne samay se badalta hai aur kisi wyakti ko aaj tak kaun jaan paya hai? Intezaar hi toh kar raha hun, jitna azaad dikhta hun dimaag utna hi majboor hai! Dil utna hi mashgul hai!

โ† Back to Stories & Poems